Advertisment

Saturday, July 21, 2018

Mera marz E Mustamir by Nimra Abbas Episode 1

Mera marz E Mustamir by Nimra Abbas Episode 1


Is a social romantic novel. It also published (roman urdu) online. 


Free download or read online From here.  👇



Click on the download button below ⬇️ for download pdf.


 Or 

read online



kahani meri sunne ko mat kia kr zid tera zabt toot na jye mere zabt ki intiha dekh kr"
"

Nawabon k shehr ki Fiza main fajr ki pehli azaan gounjh rhi thi.....Asalaaatu khairum minan naooom....Asalaatu khairum minan Naoom.....Beshak Namaz Neend se behtr ha ....Wo apny Alishaan ghr k khoobsurat phoolon waly bagheechay main khri thi....Wo jhoola abhe tk harkat main tha jis pr wo kch lamhe pehly bethi Surat e naba Ki tilawat kr rhi thi...Ye wo surah thi jo usny unn dino hifz ki thi jb wo Dunia ko chor rhi thi....Ye surah usky lye bht khas thi..Tan pr Safaid rung ki kameez or neechy khuli gher wali safaid shalwar or sar se paon tk maroon Rung ki saada shawl main lipti wo chotay kad ki lrki .....Jiski ankhain choti gehri bhoori thein or palkain ghani, ankhon main aisa sukoon k agr koi bechain tarpta hua unn ankhon main jhank le tou wo bhe lamhe bhar ko jeene ki tamanna kre....ghani palkon wali ankhain num thein...Bahawalpur ki shafaf sard hawa main mouazin ub azaan k akhri kalmaat ka rass ghol rha tha . ....Maroon shawl main lipti lrki ki choti ankhon se aik nanha sa ansoo tapak kr ub bagheechy k aik khoobsurat safaid rung k phool pr ja gira ....jise jhuky phool ne bri narmi se apny andar jazb krlia...goya koi inayat hui thi unn ankhon se aaj iss phool pr..
December ka maheena tha..Hawa sard thi bht sard or yehi sard hawain jb usky wajood ko chu kr guzrtin tou usy 7 saal pehly ki wo sardi ki ratain yad ajatin jo usny Saudi Arabia main guzarin thein..Wo ek ek pal..Wo kbhe takleef ka sardi main or bhe ziada mehsoos hona wo kbhe sukoon ki ek choti c jhalak ko apny ghr ki khirki se dekh dekh kr khush hona phr wo saray pal k jb usy lgta tha wo dunia jeet chuki or phir apny aap ko unhe raton main kahein toot ta hua dekhna or khamosh rehna or phir kitny he raaz thy unn sard raton k paas usky....ye tou bs ya tou Allah janta tha ya Wo khud .....Aaj 7 saal baad bhe wo uss Marz ki takleeef ko mehsoos kr skti thi wo aisa marz tha jo dil se shru hota or ruh tk ko apni lapait main le leta aisa drd tha jiska ilaaj tou sbb janty hain mgr shifa yaab chnd log he hoty hain or shifa bhe unhe logon ko milti ha jo shifa yaab hona chahty hain .......Or phir wo bagheechy k mukhtalif khoobsurat phoolon k jhumghaty k beech main khri thi k jb choti ghani palkon wali ankhain asmaan ki trf uthin..Nazuk gulaab ki pankhri jese honton ne janbish ki Nazrain abhe tk Naye pur noor asmaan ko dekh rhi thein chamakti tamaniat se bharpur ankhain.Wo jese Khamoshi ko mehsoos kr rhi thi apny andar k shor ko kahein fajr k wqt ki khamoshi main chupa rhi thi ...Or phir jese koi purana raaz Aaj usny khol dia tha apni saheli qudrat k samny .."Mera Marz e Mustamir"Nirmal k honton se ye lafz nikly or chehre pr tabasum ki lali ne apny rung phela diye..or Mahool ka sunnata mazeeed brh gya jaise Qudrat ka zarra zarra ye Raz sunn kr hairan pareshan sa Nirmal ko dekh rha tha jo abhe tk khamosh khri muskura rhi thi...
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
Suraj ki pehli kiran ne Asmaan pr surkhi phelai tou parindy bhe ghonslon se nikal kr asmaan ki trf parwaaz krne lgy kainat ka zarra zarra saaf shafaf or thundi subha k daman main apny aapko sardi se bachany main masroof tha...Zinda dilan e lahore k ilaqy Iqbal town ki trf jao tou ye ilaqa abhe jaise neend k nashy se mukammal trah se bhr nhi aya tha...or yun he iqbal town ki aik gali main agr murain tou chotay baray khoobsurat gharon ki kataar main sbb se akhir main aik chota mgr sabzy se saja hua bangla bhe nzr ata jisky kalay gate k bhr sunheray haroof main likha "The Ahmeds house"apni puri shaan o shaukat se chamak rha tha...Gate se andr dakhil hon tou samny porch khali nzr ata or porch se aik trf bain hath pr aik bay had khoobsurat lawn tha jismy takreeban har sabzi ka pouda tha or anwa o aksaam k phool har trf khilay huy thy lakin iss bagheechy ki sbse khaas bat thi isky bilkul ek trf lgy Safaid gulaab ..white rose k pouday k phool yun khilay nikhry huy thy jese apni nazakat khoobsurti pr itraa rhy hon phool waqaie khaas lg rhy thy wo yaqeenan iss lawn k maalik k bhe pasandeeda hongy or wo iss bat ki gawahai khud de rhy thy...
Ghr ki rah daari aboor krny k baad agr andar dakhil hon tou samny opar ki trf seerihan jati thein ghr ki har chez main safaid rung ka touch dia gya tha ....opar lounge tha phir dain trf aik kataar main 3 kamry thy ....akhri kamry ki balcony main ek lrki ki pusht dikhai deti thi kalay reshami geelay baal kamar se neechy tk dhalak rhy thy or tan pr track suit tha kali gol gol chamkeli ankhain mobile ki screen pr jami thein ...kch lamhe guzre or koi sard hawa ka jhonka aakar uske wajood se takraya tou ruh k andar tk thund ka jhatka mehsoos hua or wo daftan peechy ki trf ghumi itny main kamry ka adkhula darwazaa ksi ne dhamaky se pura khola or aik adhair umar khatoon sar se paon tk off white chadar main lipti naheef hathon main chai ka cup liye andar dakhil huin..."Haye Mere Allah!!!!!...MISHKAT......kia haal bna rkha ha tu ne apna ..nee tujhe sardi nhi lgti??.. tu ne tou kch orha hua bhe nhi ha opar se naha k balcony main kia kr rhi ho?.....ye kia sara pagalpan meri he aulaad ko hona tha ub ye konsa naya style ha k itni thund k mosam main ye patli patloonay pehn kr or naha kr balcony main kharay hojao ub agr tu bimar hui tou mat ana mere pas satia naas ho ksi ko meri bat smjh he nhi ati ....."..uff Mama mishkat harbharai...."jarhi hun na mujhe meri colleague se bat krni thi or internet k signals yahan nhi arhy thy isilye balcony chli gai
.."Bhaar ma jye teri mui colleague tera net or tera ye mobile Saima begum mazeed bharak gaen"..oho Meri mama meri piyaaari mama" mishkat ne masoomana andaaz apnaya " kch nhi hota na amma dekhain main pehn rhi hun ..Mishkat ub bed ki trf muri jispy grey rung ka sweater or kalay rung ki shawl paray thy...jhatt se uthaye or pehnne lgi..Amma ka ghussa ub kafi had tk tham chuka tha sweater pehn ne k baad usne geelay baalon ka halka sa jura bnaya or shawl orh li uska chand sa chehra or khoobsurat safaid chamakta rung ub or bhe ziada chamakny lga tha or wo ub ye sb pehn kr jataany waly andaaz main Saima begum ka itmeenan hasil kr rhi thi..Amma apni raaj dulari ko dekh kr ub muskura rhi thein(sada ki blackmailer ha meri aulaad)....."Acha ye chai ka cup tou de den ub...ya ispy bhe dant paregi mishkat ne apny paon pr khud kulhari maari..."Han han lo pakro 25 saal ki hogai ho tum or ub tk burhi maaa tumhe chai pilaye wah Madam"....amma kehty kehty kamry se bhr chli gaen or mishkat adatan sharart bhri muskurhat dabaye apni masoom c maa ko jaty dekhti rhi ...darwaza bnd hua tou mishkat ne jese gehra sans bahar kia..."Subha ki dose puri hui."....chai ka cup hath main thamay ub wo balcony ki trf wapis chli gai or phr wakfy wakfy se ghont bhrti or roshan subha ka nazara dekhti wo pur sukoon nzr ati thi ....kch lamhe kch saniye beete thy k achanak Mishkat ka phone bajny lga....Alaram.."Oh mere Khudaya aaj tou Sunday ha.......Mishkat aaandhi tufaan ki trah peechy ki trf muri balcony ka darwaza bnd kia phir apni almari se purse nikala side table pr se kch uthany gai tou chakra gai...Chabi???gari ki chabi kahan gai rat ko tou yahin thi...ufffff bhaiiii!!!!!!! kch gehry sans le kr kamray ka darwaza khola or bhr nikal gai ...Mishkat k kamry or khalid(mishkat ka chota bhai) k kamry k beech main aik kamra tha jiska darwaza adha khula tha mishkat dhamaky k sath andar dakhil hui kamra na ziada bara tha na ziada chota mgr bht nafasat se sajaya gya tha furniture k naam pr bed almari or dressing table thy or sb k sb safaid ..
siyah chadar bed k kono se hati hui thi or bistar pr silwatain pri hui thein yun jaise koi abhe he uss bistar pr se sou k utha ho...Bhaiiiiiii!!!!!!Mishkat bukhlaai hui thi Sans phula hua tha mgr pura gala phaar kr wo chilai thi...phir wo Bathroom ki trf gai tou bathroom ka darwaza bhe khula hua tha wo kamry main nhi tha....tou phir kahan tha???.....Mishkat hawaas bakhta c kamry se bhr nikli or terrace ki trf gai jaise he neechy nzr pri tou porch khali tha......"SATIA NAAAAS!...Bhai gari le gya ....ufffffff."....Sar pakary khri mishkat ghusse or dukh se lal peeli hrhi thi ....Uff Allah...Mishkat itni subha subha kia shor macha rkha ha ...Nadia bhabi bhe darwazon k musalsal bajny k shor se jaag chuki thein..Mishkat nadia ki awaz pr chonki.."bhabi apka shohar kahan ha??....Mishkat ka ye andaaz nadia k lye naya nhi tha.."Wo sou rhy hain"Nadia ne aik hath mun pr rkhy jamaai rokaty huy jawaab dia...."Tou phir gari kahan ha??,...mishkat ne phir sawal kia...Nadia ne achanby se pehly mishkat ko dekha phr zra agay ko jhuk kr neechy porch ki trf dekha tou porch waqaie khali tha...Phir jaise kch yad krne lgi..."oh tumhara bara bhai gya ha ksi kam se gari le k tahajud k wqt jaty dekha tha maine unhe" Nadia ub mishkat ki trf dekh rhi thi jo ksi khayal or ghusse se laal surkh hrhi thi ..."Tumhe kia ha?kahan jana tha aaj tou waise bhe sunday ha or wo bhe itni subha abhe tou bazaar bhe nhi khule hongy.....?"Nadia k sawal pr mishkat phatt pri..."Bhabi apko pta haina aglay hafty sobia ki shadi ha or maine kal rat bhai se deal ki thi k aaj mujhe shopping pr le k jyngy or wo maan tk gye thy or ub ghyb ye kion aisa krty hai mere sath ..mere sath kia sbky sath agr koi apna kaam tha tou bta dete main kch or intizam krleti iss trah kion chly gye beghair btaye zaroor khud doston k sath gye hongy ghoomny..."Mishkat ub rou rhi thi gol gol ankhon se ansoo tap tap laal galon pr beh rhy thy ...
.."Yar kch nhi hota na tum pareshan mat ho ajyengy le jyngy tumhe abhe tou pura aik hafta para ha" Nadia ko apny sawal pr jese pachtawa hua tha....
Mishkat Nadia ki bat suni ansuni krty huy terrace se chli gai...Nadia bechargi se mishkat ko Jaty dekhti rhi....
**********************************
"Darr tha jis sanihay ka wo hogya ha
Teri yaadon ka asar dil pe hogya ha"
Ub agr lahore high way ki trf chlen tou choti bri har kisam ki gaariyon k beech aik safaid rung ki toyota bhe thi jismy driving seat pr betha noujawan grey shirt pr grey sweater pehny or sar pr hood charhye wo hashaaash bashaash betha goya stearing wheel k sath khail rha tha.."Yar tu gari chala rha ha ya jahaaz"?...barabar wali seat pr betha aik or noujawan jo k navy blue shirt pr black sweater pehny huy tha ankhain gehri bhoori gol or choti opar ki palkain ghani wajeeh chehre pr french beard pas wo bht khoobru noujawan tha mgr filhal wo pareshan tha..."Yar Mohid tu kahan le k jarha ha mujhe itni subha kch bol bhe de ub"....wo is bar driving seat pr bethy har chez se bay niyaaz mohid pr gharaya tha..."Ooo Bhai masla kia ha ..nhi kr rha tumhe kidnap chup kr k betho or mujhe gari chalany dou...jahan bhe le k jarha hun bri kaam ki jga ha"...Mohid sath bethy pareshan haal noujawan ko tasali de rha tha......"Matlab itni subha wo bhe achanak tum atleast rat ko bta dete k kahein outing ka plan ha main tou ghar walon ko bhe nhi bta k aya opar se gari bhe le aye ho tumhe pta ha mohid yar Asim ki gari workshop se nhi aai or or"...ooooooufff bsss krdeee MANIIIII......Mohid minaar ki jazbaati taqreer se goya tung aty huy chilaya tha..."Kitny masly hain teri zindagi main haina?..Bay roz gaar admi tumpe ehsaan krny wala hun ta k tumhari zindagi main bhe koi kam kaaj nikly tumhara bhe koi taika ho ghr pr kb tk tum yun ghr daari krogy o bhai jb sb kch tera apna hoga na tou tu aysh krega aysh jese main kr rha hun.."..."Han han meri family ki gari pr aysh"...Minaar bhe phir mohid ka he dost tha.."Hun Hun"...Mohid mehaz bura mun bna k he reh gya ....
"Minaar.....ub meri bat ghor se sun..."kch wqt ki khamoshi k baad mohid ne jaise ksi bht he sanjeeda mamly ki tamheed bandh te huy kaha....Minaar chonka.."Ye achanak isy kia hua ha baba g itny serious bht kum he mamlon main hoty hain Allah khair.....Han bolo sun rha hun minaar ub windscreen se bhr guzrty rang barangy khaiton ko dekhty huy bola...."Tumhe pakistan aye huy saal hony ko hain..Ghr ha ghr wale hain mgr job nhi ha..Pakistan jaise mulk main ye har ghr ki kahani ha ek na ek fard aisa zaroor hota ha jo berozgaar hota ha...Bhai bat asal main pta ha kia ha?"Mohid ne minaar ki trf dekha jo ub baray ghor se mohid ki batain sun rha tha jan na chah rha tha k wo agay kia kahega.."Bat ye ha k humare log engineering accounting business ye bri bri degreian hasil kr k smjhty hain k unhe direct president of pakistan bna dia jyega ya phir lakhon ki job mil jyegi nhi Minaar har chez har ohda mehnat se milta ha aap ne prh lia ub aapko usmy maharaat hasil krni hogi practical work main apko experience hona chaiye tb he ja k apko uss field main uss job main promotion milta ha agay brhny ka mouqa milta ha...humare engineers k lye 10,000 rupiyon se start lena sharmindagi ha jb k mujhe lgta ha Mani k insan ko pani ki miqdaar nhi blky ye soch k pani ka piyala pakar lena chaiye k kam se kam pani tou ha...bay rozgari ,wasail na hona ye insan k khud k grhy huy bahany hain...Warna jo kamana chahta ha wo 5000 pr bhe khush hojyega...."..Minaar sakat betha ub faqat mohid ko ghoor rha tha gol gol ankhain ub hairat se mazeed gol hogaen thein mohid ub chup tha..."bhai tujhe tou siyasatdaan hona chaiye itni achi speech...impressive....Ye sbb mujhe kion bta rhy ho or wo bhe iss wqt jb hum outing pr jarhy hain main abhe job k mamly discuss nhi krna chahta"Minaar ne lapwarahi se kaha .."konsi outing kiski outing kahan ki outing? hum tumhari job ka bandobast krne jarhy hain or ub hum apni manzil se srf 3 ghanty k fasly pr hain or han Minaar Ahmed sahab aap ye bat kaan khol kr sunlen k iss bar aap job k lye mana nhi krengy Smjhy "Mohid ub ek ek lfz chaba chaba ke bola..."Ek min kia kaha??...Minaar bhonchka...Job?...kahan jarhy hain hum konsi jaga ha ye or lahore kitna peechy reh gya?....Mujhe iss mulk ka kch nhi pta or iss bat ka najaiz faida mat uthao Mohid baloch..."Minaar k lehje main ghussa tha tajasus tha..."Job k beghair pakistan main aap jaise admi ka guzara nhi ha Minar ahmed...baray shehron k baray chonchly hoty hain maine socha kch naya krta hun...Log choty shehron se baray shehr nokri dhundny jaty hain
hum baray shehar se choty shehar jyngy"..." Or ye Chota shehar konsa ha minaar ne mohid ki bat kat te huy tanzia andaaz main pucha...
"The City of Nawabs...."BAHAWALPUR".....Mohid ne muskuraty huy jawab dia tha...Minaar ko jhatka lga tha ...kch andar he andar toota tha .....sanson ki tarteeb bigri thi...Dil zor se dharka tha...kbhe kbhe ek naam bs ek naam kafi hota ha barsun ki bhulai yadon ko taza krne k lye......"""""Aap jb bhe pakistan ana mere shehar zaroor ayiega...The city of Nawabs bahawalpur...and trust me Its beautiful..."...."MANi....?..ooo bhai kia hogya kidhr gum hogye tmhe tou shehar ka naam sun k he chup lg gai pta nhi rahogy kaise wahan"...Mohid kch bol rha tha Minaar bss namak ka mujasma bny ksi yad main gum tha....Mazi .....marz.....purana marz....marz e mustamar....."Hmmm kch nhi ...bs wese he..Soch rha hun k ye jumla kitna sacha ha k "Dost he dost ko khanjar thokta ha"....
"Kiaaa?mohid ko jaise apni samaton pr shak hua tha ....
"Han"Minaar ka para charh chuka tha...koi or shehar nhi mila tha itny baray pakistan main?..."Mohid chup sa bss Minaar ki ankhon main dekhta gya...shyd iss trah k reaction ki usy tawaqu nhi thi........Lmbi khamoshi...."Mani...utho Yar bahawalpur agya."....
Mohid ki awaaz pr Minarr ne ankhain kholin ...or gari k sheehsy se bhr jhanka suraj bs ub alvida keh rha tha..Asmaan neela saaf...Nawabon k shehar ki fizaa main ajab sukoon tha....Minaar gehri Saans le k gari se bhr nikal gya..
************************************
"Khuwab aankhon main liye haqeeqaton ko tarachti ha
Wo lrki ajeeb ha raton ko jagti ha"

Nai subha naya din nai umeedain....
"Mama mujhe bht dar lg rha ha"Dining table pr bethi wakfy wakfy se chai k ghont bhrti wo kch ghabrai hui lgti thi..."Ye koi nai bat tou nhi haina Nirmal tumhe yad haina tum inter k result anay se pehly bhe kitna roi thi chalo wo choro tum tou result anay k baad bhe pura aik ghanta roti rhi thi k main pas he kaise hogai ..."parveen rehman sahb ki trf dekh kr bol rhi thein... hah"kia din thy wo bhe or ub ye itni bri hogaen hain k advocate bn ne ja rhi hain Rehman bhe khushgawar andaaz main boly ..bap ki bat pr nirmal halka sa muskurai..lamhe bhar ko uska dil chaha k rehman usy pas bulain usy piyar kren or usy kahain k unhe uspy fakhar ha...akhir nirmal ka sb se bara khuwab pura hony jarha tha .."Bs ub tumne prh lia shok pura krlia ub bete shadi krlo...."...Rehman Sahb ki bat pr Nirmal chonki thi or jese chai ka nhi zehr ka ghont galay main utra ho...
"G papa....main chlti hun aaj school staff se meeting ha ..."
Sari khushi pr pani phir chuka tha nirmal ne bag uthaya adhura nashta adhuri chai or shyd adhuri zindagi....Sb kch pura ho kr bhe sbb kch adhura tha..."Kia krty hain aap?..krdia na phr mood off nashta bhe nhi krne dia usy pta haina kitni hasas ha wo ub pura din apki baton pr pareshan rahegi kbhe tou usy support kia kren.."Parveen ko dukh hua tha....Rehman sahb ghusse ko zabt kr k  bay basi se sbb sunty rhy or nirmal k adhure nashty ki plate ko dekhty rhy....
****""**""""""***********"""""""*******
"Kahan jarhi ho Mishkat...?..."Mama main khalid k sath he shopping jarhi hun Apky baray sahab zaday tou kal rat se gari samait ghyb hain...."
"..Wo bahawalpur gya ha Mohid k sath...."..Saima begum afsurdgi se boli thein...
"Kia ...??...Mishkat chonki ...Kahan?? kahan gye hain?
"Han bahawalpur gya ha abhe call ai thi uski keh rha tha k kal subha achanak he mohid usy utha k ly gya mohid ki gari k kch masail thy tou isilye gari bhe ly gya kal tk bhijwa dega gari tum fiker mat kro..."...Saima bs ek nukty ki trf dekhti hui bolti jarhi thein...
Mishkat ki ankhain bhar aaen ...kch ajeeb tha ajeeb bht ajeeb koi anjana khof koi mazi ki yad koi drd sa tha jo jaga tha koi bht shidat se yad aya tha...
."Mgr achanak kion unho ne kch btaya nhi outing k lye itni dur?"
mishkat ko tajasus hua tha akhir bahawalpur he kion?
"hun....keh rha tha mohid ne koi achi job dhundi ha bs isilye jaldi jaldi Mani ko ly gya ta k hath se na nikal jye....bs tum dua kro mishkat k mere bete ko ub job mil jye meri ankhain taras gaen hain apny bete ki khushian dekhny ko .."
.Saima ub aik hath se mishkat ka gaal thap tapa rhi thein or dusre hath se apny ansoo saf kr rhi thein...Mishkat sakat c khri thi ...."Ya Allah mere bhai ki hifazat krna"....
************************************
"advocate sahiba....kia bat ha aaj aap itni khamosh?...Suraj kahan se nikla ha aaj?k Nirmal sheikh ko chup lgi hui ha"...Aima ne moom phali ka dana mun main dalty huy Nirmal ko jaise chera tha. Wo log Islamia university k cafeteria main bethi thein..... Asma bhe hans pri..."Han bhai aaj tou aapko speech deni chaiye aap finally advocate jo bnne jarhi hain.enrollment ka sara rola khuda khuda kr k muk gya ha"
..."Yar tum log bhe na...bolun tou kehty ho kitna bolti ha chup hojaon tou kehty ho chup kion ho matlb kia chahty kia ho akhir kaar?.."
Nirmal ne tung akar kaha...or Asma Aima bay ikhtiyaar hans parien...."Acha na btao ub kia hua ha kion itni subha 12 bj rhy hain tumhare chehre pr ...."Aima ne iss bar sanjeedgi se pucha tha...
"Kch nhi yar bs papa ....wo chahty hain main shadi krlun..."..Nirmal mun main dana dalty bezargi se boli..
."Ay lo g..Ye tou Rehman uncle pichle chaar saal se chahty hain pr hui shadi ?...nhi na tou phir kion pareshan hrhi ho "
Aima mzy se chai ka mug labon ki trf le jaty huy boli ...
"Hmmm..nhi pareshan nhi hun bs thak c gai hun bar bar Papa ki bat taal taal kr acha nhi lgta mujhe mgr main unhe kaise smjhaon k main shadi krna he nhi chahti ...Aima main ksi mard pr bharosa nhi krskti mujhe ye school ye bchy or apny khuwabon se muhabbat ha main ...main ghareebon k haqooq k lye lrna chahti hun main insaaf k lye lrna chahti hun..Aik aurat kia srf shadi bchy shohar k lye he bni ha?..kia zindagi inn dairon se agay nhi jati....?..."
..Nirmal kisi soch main gum bs bolti jarhi thi...
Asma or Aima dam saday bethy usy sunn rhi thein...Wo bolti he itna acha thi k sunne wala bs sunta he reh jata tha wo jb bhe apny khuwabon k baray main Aima Asma ko btati thi tou uski ankhon main passion ki chamak saaf nzr ati thi...Wo qabil e Rashk thi...."..So proud of You Nirmal...Tumne jo khuwab dekhy sbb sach bhe kr k dikhaye main kal gai thi gaon..Yar kia zabrdst level krdia ha tumne School ka...I mean students ki personality building and unky bolne k andaaz se kahein se nhi lg rha tha k wo aik chotay se gaon k rehny waly hain...Tumhari mehnat nzr ati ha Nirmal..kitni duain milti hongi tumhe . "..Aima rashkiya andaaz main Nirmal k school ki tareef kr rhi thi..."Abhe tou bht kch krna ha Aima...Bs dua kia kro k Allah mujhe himmat den..."
Nirmal ne muskuraty huy chai ka ghont bhara..Sari pareshani minto main ghyb hochuki thi...jb mehnat rung lati nzr aye tou dil krta ha thora or jiya jye ...or yehi kch haal Nirmal ka bhe tha...uski kul kainaat bs usky khuwab thy.....

***************
To be continued...

No comments:

Post a Comment

Mere Bhi Khuch Khwab Hain by basma nazeer (complete afsana)

Mere Bhi Khuch Khwab Hain  Is first urdu afsana by Basma nazeer. It is also published online. Available here to download in pdf...